Mehfil-e-Gazal #743

Meg Index | October 2001 Index



Date: 17-Oct-2001
Poet: Ahmed Faraz


vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai

vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaro.n taraf
jo mere baKht me.n thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai

udhar kii aag idhar bhii pahu.Nch na jaaye kahii.n
havaa bhii tez hai jangal qariib-e-shahar bhii hai

ab us ke hijr me.n rote hai.n us ke ghaayal bhii
Khabar na thii ke vo zaalim habiib-e-shahar bhii hai

ye raaz naaraa-e-mansuur hii se ham pe Khulaa
ke chuub-e-mimbar-e-masjid saliib-e-shahar bhii hai

ka.Dii hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
amiir-e-shahar bhii hai aur khatiib-e-shahar bhii hai


Meg Index | October 2001 Index