Meg Index |
October 2001 Index
Date: 15-Oct-2001 Poet: Nasir Kazmi phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye phir patto.n kii paazeb bajii tum yaad aaye [paazeb = anklet (paayal)] phir ku.Nje.n bolii.n ghaas ke hare samandar me.n rut aa_ii piile phuulo.n kii tum yaad aaye phir kaagaa bolaa ghar ke suune aa.Ngan me.n phir amrat ras kii buu.Nd pa.Dii tum yaad aaye pahale to mai.n chiiKh ke royaa aur phir ha.Nsane lagaa baadal garjaa bijalii chamakii tum yaad aaye din bhar to mai.n duniyaa ke dhandho.n me.n khoyaa rahaa jab diivaaro.n se dhuup Dhalii tum yaad aaye