Meg Index |
October 2001 Index
Date: 11-Oct-2001 Poet: Qateel Shifai dil ko Gam-e-hayaat gavaaraa hai in dino.n pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dino.n [gavaaraa = agreeable; chaaraa = cure] ye dil zaraa saa dil terii yaado.n me.n kho gayaa zarre ko aa.Ndhiyo.n kaa sahaaraa hai in dino.n har sail-e-ishq saahil-e-taskii.n hai aaj kal dariyaa kii mauj mauj kinaaraa hai in dino.n [sail-e-ishq = flood of love; saahil-e-taskii.n = peaceful shore] shamo.n me.n ab nahii.n hai vo pahale sii roshanii shaayad vo chaa.Nd anjuman_aaraa hai in dino.n [anjuman_aaraa = adorning or enhancing the beauty of a gathering] tum aa sako to shab ko ba.Dhaa duu.N kuchh aur bhii apane kahe me.n subah kaa taaraa hai in dino.n qurbaa.N ho.n jis ke husn pe sau jannate.n 'Qateel' nazaro.n ke saamane vo nazaaraa hai in dino.n