Meg Index |
October 2001 Index
Date: 09-Oct-2001 Poet: Taskeen Qureshi dil aur vo bhii TuuTaa huaa dil ab zindagii hai jiine ke qaabil kyaa zindagii kaa ehasaas-e-shaamil tere baGair ek Gaarat_garii dil hotaa hai jitanaa Khuun-e-tamannaa ba.Datii hai utanii rangiinii-e-dil josh-e-junuu.N me.n yak_saa hai dono.n kyaa gard-e-saharaa kyaa Khaak-e-manzil taqdiir-e-insaa.N aur ye zamaanaa ek marG-e-aasaa.N aur vo bhii mushqil lab par tabassum aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu ham likh rahe.n hai.n afsaanaa-e-dil 'Taskeen' se aksar ham bhii mile hai.n kuchh bhii ho lekin hai saahib-e-dil