Meg Index |
October 2001 Index
Date: 02-Oct-2001 Poet: Faiz Ahmed Faiz aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye us ke baad aaye jo azaab aaye [azaab=trouble, difficulty] baam-e-miinaa se maahataab utare dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho saamane phir vo benaqaab aaye umr ke har varaq pe dil ko nazar terii mehr-o-vafaa ke baab aaye kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab aaj tum yaad behisaab aaye na ga_ii tere Gam kii sardaarii dil me.n yuu.N roz inqalaab aaye jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye is tarah apanii Khamashii guu.Njii goyaa har simt se javaab aaye 'Faiz' thii raah sar basar manzil ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye