Meg Index |
September 2001 Index
Date: 27-Sep-2001 Poet: Jan Nissar Akhtar zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa [mizaaj = temperament/nature] muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa [muaaf = forgive] shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii mai.n chand Khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa [chand = few]