Meg Index |
September 2001 Index
Date: 26-Sep-2001 Poet: Jan Nissar Akhtar jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaaye [rasm = custom/tradition] tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii ik nadii dard ke shaharo.n me.n bahaa dii jaaye [tishnagii = thirst; tishnaalab = extremely thirsty] dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraa.N ke tale jaise ik laash chaTTaano.n me.n dabaa dii jaaye ham ne insaano.n ke dukh dard kaa hal Dhuu.NDh liyaa kyaa buraa hai jo ye afvaa u.Daa dii jaaye [afvaa = rumour] ham ko guzarii hu_ii sadiyaa.N to na pahachaane.ngii aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye [lamhaa = moment; sadaa = call] phuul ban jaatii hai.n dahake hue sholo.n kii lave.n shart ye hai ke unhe.n Khuub havaa dii jaaye kam nahii.n nashe me.n jaa.De kii gulaabii raate.n aur agar terii javaanii bhii milaa dii jaaye [ja.Daa = winter] ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai chand lafzo.n me.n ko_ii aah chhupaa dii jaaye