Meg Index |
September 2001 Index
Date: 06-Sep-2001 Poet: Gopaldas 'Neeraj' duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa [daraKht = tree; saKht = difficult/hard] itane masaruuf the ham jaane kii taiyaarii me.n kha.De them tum aur tumhe.n dekhane kaa vaqt ka thaa [masaruuf = busy] mai.n jis kii khoj me.n Khud kho gayaa thaa mele me.n kahii.n vo meraa hii ehasaas to kam_baKht na thaa [kam_baKht = unfortunate] jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa vo aur kuchh ho magar aadamii kaa rakt na thaa [Khaul = boil; raqt = blood] unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa [itihaas = history] sharaab kar ke piyaa us ne zahar jiivan bhar hamaare shahar me.n 'Neeraj'-saa ko_ii mast na thaa