Mehfil-e-Gazal #708
Meg Index |
August 2001 Index
Date: 28-Aug-2001
Poet: Sahir Ludhianvi
Another nazm by Sahir, one of his most well known nazms. The
title is 'nuur_jahan ke mazaar par'
pahaluu-e-shaah me.n ye duKhtar-e-jamahuur kii qabar
kitane gum_gushtaa fasaano.n kaa pataa detii hai
kitane Khuurez haqaayaq se uThaatii hai naqaab
kitanii kuchalii hu_i jaano.n kaa pataa detii hai
kaise maGruur shahanshaaho.n kii taskii.n ke liye
saal_haa_saal hasiinaao.n ke baazaar lage
kaise bahakii hu_ii nazaro.n kii taa_ish ke liye
surKh mahalo.n me.n javaa.N jismo.n ke anbaar lage
sahamii sahamii sii fizaao.n me.n ye viraa.N marqad
itanaa Khaamosh hai fariyaad_kunaa ho jaise
sard shaaKho.n me.n havaa chiiKh rahii hai aise
ruuh-e-taqadiis-o-vafaa marsiyaa_Khvaa.N ho jaise
tuu merii jaa.N hairat-o-hasarat se na dekh
ham me.n ko_ii bhii jahaa.N nuur-o-jahaangiir nahii.n
tuu mujhe chho.D ke Thukaraa ke bhii jaa sakatii hai
tere haatho.n me.n meraa saat hai zanjiir nahii.n
Meg Index |
August 2001 Index