Mehfil-e-Gazal #705
Meg Index |
August 2001 Index
Date: 01-Aug-2001
Poet: Nida Fazli
safar me.n dhuup to hogii jo chal sako to chalo
sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii nikal sako to chalo
idhar udhar ka_ii manzil hai.n chal sako to chalo
bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal sako to chalo
kisii ke vaasate raahe.n kahaa.N badalatii hai.n
tum apane aap ko Khud hii badal sako to chalo
yahaa.N kisii ko ko_ii raastaa nahii.n detaa
mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo
yahii hai zindagii kuchh Khaak chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
har ik safar ko hai mahafuus raasto.n kii talaash
hifaazato.n kii rivaayat badal sako to chalo
kahii.n nahii.n ko_ii suuraj dhuaa.N dhuaa.N hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo
Meg Index |
August 2001 Index