Mehfil-e-Gazal #686
Meg Index |
July 2001 Index
Date: 05-Jul-2001
Poet: Munir Niazi
A nazm recited by Munir Niazi at both the Houston and
the Dallas mushiara:
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
zaruurii baat kahanii ho
ko_ii vaadaa nibhaanaa ho
use aavaaz denii ho
use vaapas bulaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
madad karanii ho us kii
yaar kii Dhaa.Das ba.Ndhaanaa ho
bahut deriinaa raasto.n par
kisii se milane jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
[deriinaa=very old/praachiin]
badalate mausamo.n kii sair me.n
dil ko lagaanaa ho
kisii ko yaad rakhanaa ho
kisii ko bhuul jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
kisii ko maut se pahale
kisii Gam se bachaanaa ho
haqiiqat aur thii kuchh
us ko jaa ke ye bataanaa ho
hameshaa der kar detaa huu.N mai.n
Meg Index |
July 2001 Index