Mehfil-e-Gazal #666
Meg Index |
June 2001 Index
Date: 06-Jun-2001
Poet: Javed Akhtar
Main aur Merii Aavaaragii
phirate hai.n kab se dar_ba_dar ab is nagar ab us nagar
ek duusare ke ham_safar mai.n aur merii aavaaragii
naa aashanaa har rah_guzar naa mehar_baa.N hai ek nazar
jaaye.n to ab jaaye.n kidhar mai.n aur merii aavaaragii
ham bhii kabhii aabaad the aise kahaa.N bar_baad the
bifikr the aazaad the masaruur the dil_shaad the
vo chaal aisi chal gayaa ham bujh gaye dil jal gayaa
nikale jalaa ke apanaa ghar mai.n aur merii aavaaragii
vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
thii.n jis kii baate.n kuu_ba_kuu us se ajab thii guftaguu
phir yuu.N huaa vo kho ga_ii aur mujh ko zid sii ho ga_ii
laaye.nge us ko Dhuu.ND kar mai.n aur merii aavaaragii
ye dil hii thaa jo sah gayaa vo baat aisii kah gayaa
kahane ko phir kyaa rah gayaa ashko.n kaa dariyaa bah gayaa
jab kah kar vo dil_bar gayaa tee liye mai.n mar gayaa
rote hai.n us ko raat bhar mai.n aur merii aavaaragii
ab Gam uThaaye.n kis liye ye dil jalaaye.n kis liye
aa.Nsuu bahaaye.n kis liye yuu.N jaa.N gavaaye.n kis liye
peshaa na ho jis kaa sitam Dhuu.Nde.nge ab aisaa sanam
ho.nge kahii.n to kaar_gar mai.n aur merii aavaaragii
aasaar hai.n sab khoT ke imkaan hai.n sab choT ke
ghar band hai.n sab koT ke ab Khatm hai sab ToTake.
qismat kaa sab ye khel hai andher hii andher hai
aise hue hai.n be_asar mai.n aur merii aavaaragii
jab ham_dam-o-ham_raaz thaa tab aur hii andaaz thaa
ab soz hai tab saaz thaa ab sharm hai tab naaz thaa
ab mujh se ho to ho bhii kyaa hai saath vo to vo bhii kyaa
ek behunar ek besabar mai.n aur merii aavaaragii
Meg Index |
June 2001 Index