Mehfil-e-Gazal #656

Meg Index | April 2001 Index



Date: 19-Apr-2001
Poet: Hosh Tirmazi

laayegaa rang zabt-e-fuGaa.N dekhate raho
phuTegii har kalii me.n zubaa.N dekhate raho

[zabt = restraint]

barpaa sar-e-hayaat hai ik hashr-e-daar-o-giir
detaa hai kaun kis ko amaa.N dekhate raho

[sar-e-hayaat = in life;amaa.N = protection/safety]

dam bhar ko aastaan-e-tamannaa pe hai hujuum
jaaye bichha.D ke kaun kahaa.N dekhate raho

[aastaan = threshold; hujuum = crowd]

milane ko hai Khaamoshii-e-ahal-e-junuu.N kii daad
uThane ko hai zamii.n se dhuaa.N dekhate raho

[daad = praise]

mahafil me.n un kii shama jalii hai ki jaan-o-dil
khulataa hai kab ye raaz-e-nihaa.N dekhate raho

[raaz-e-nihaa.N = buried/hidden secret]

aa_ii nigaar-e-Gam kii sadaa 'Hosh' ham chale
tum imtiyaaz-e-suud-o-ziyaa.N dekhate raho

[nigaar-e-Gam = picture of sadness]
[imtiyaaz-e-suud-o-ziyaa.N = differentiate between profit and loss]


Meg Index | April 2001 Index