Mehfil-e-Gazal #655
Meg Index |
April 2001 Index
Date: 18-Apr-2001
Poet: Dushyant Kumar
kahaa.N vo tay thaa charaaGaa.N har ek ghar ke liye
kahaa.N charaaG mayassar nahii.n shahar ke liye
[mayassar = available]
yahaa.N daraKhto.n ke saaye me.n dhuup lagatii hai
chalo yahaa.N se chale aur umr bhar ke liye
[daraKht = tree
na ho qamiiz to ghuTano.n se peT Dhak le.nge
ye log kitane munaasib hai.n is safar ke liye
[munaasib = appropriate]
Khudaa nahii.n na sahii aadamii kaa Khvaab sahii
ko_ii hasiin nazaaraa to hai nazar ke liye
vo mutama_in hai.n ki patthar pighal nahii.n sakataa
mai.n beqaraar huu.N aavaaz me.n asar ke liye
[mutama_in = content]
jiye.n to apane baGiiche me.n gul_mohar ke liye
mare.n to Gair kii galiyo.n me.n gul_mohar ke liye
Meg Index |
April 2001 Index