Meg Index |
February 2001 Index
Date: 28-Feb-2001 Poet: Habib Jalib is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare zindaa hai.n yahii baat ba.Dii baat hai pyaare ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare taabindaa-o-paa_indaa hai.n zarro.n ke sahaare [taabindaa-o-paa_indaa = burning bright and eternally] hasarat hai ko_ii Gunchaa hame.n pyaar se dekhe aramaa.N hai ko_ii phuul hame.n dil se pukaare har subah merii subah pe rotii rahii shabanam har raat merii raat pe ha.Nsate rahe taare kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.N kab tak ko_ii ulajhii hu_ii zulfo.n ko sa.Nvaare