Meg Index |
February 2001 Index
Date: 23-Feb-2001 Poet: Bal Swarup 'Rahi' kheto.n kaa haraapan mai.n kahaa.N dekh rahaa huu.N mai.n rel ke injan kaa dhuaa.N dekh rahaa huu.N fursat hai kahaa.N aap ke baaGaat me.n Tahaluu.N mai.n apane uja.Dane kaa samaa.N dekh rahaa huu.N [baaGaat = gardens; Tahalanaa = to stroll] Khanjar jo gavaahii hai mere qatl kii us par apanii hii u.Ngaliyo.n ke nishaa.N dekh rahaa huu.N [Khanjar = dagger; gavaahii = witness; qatl = murder] sab aap kii aa.Nkho.n se jahaa.N dekh rahe hai.n mai.n aap kii aa.Nkho.n me.n jahaa.N dekh rahaa huu.N vo soch me.n Duube hai.n nishaanaa ho kahaa.N par mai.n TuuTe huye tiir-kamaa.N dekh rahaa huu.N maaluum hai taqariir likhaa laaye hai.n kis se mai.n un kaa zaraa tarz-e-bayaa.N dekh rahaa huu.N [taqariir = speech/discourse; tarz-e-bayaa.N = style of speaking] jo mai.n ne Khariidaa thaa kabhii bech ke Khud ko niilaam me.n bikataa vo makaa.N dekh rahaa huu.N [niilaam = auction] tuu Dhuu.NDh rahii hogii kahaa.N mujh ko qayaamat mai.n kab se terii raah yahaa.N dekh rahaa huu.N Tokaa jo unho.nne ki kaho dekh lii duniyaa mai.n bhii kahaa ha.Ns ke ki haa.N dekh rahaa huu.N buu.Dhii hu_ii ummiid to kyaa phir bhii la.Duu.Ngaa mai.n apane iraade ko javaa.N dekh rahaa huu.N jis raah se jaanaa hai na_ii pii.Dhii ko 'Rahi' us raah me.n ik andhaa kuaa.N dekh rahaa huu.N