Meg Index |
February 2001 Index
Date: 09-Feb-2001 Poet: Wamiq Jaunpuri tujh se mil ke dil me.n rah jaatii hai aramaano.n kii baat yaad rahatii hai kise saahil pe tuufaano.n kii baat [saahil = shore] vo to kahiye aaj bhii zanjiir me.n jhankaar hai varnaa kis ko yaad rah jaatii hai diivaano.n kii baat kyaa kabhii hogii kisii kii tuu magar ai zindagii jaan de kar ham ne rakh lii tere diivaano.n kii baat bazm-e-anjum ho ke bazm-e-Khaak-taa-bazm-e-Khayaal jis jagah jaao sunaa_ii degii insaano.n kii baat [bazm-e-anjum = gathering of stars; bazm-e-Khaak = wilderness] [taa = from...to; bazm-e-Khayaal = imagination] phuul se bhii narm-tar 'Wamiq' kabhii apanaa kalaam aur kabhii talavaar ham aashuftaa_saamaano.n kii baat [narm-tar = softer than; kalaam = talk/writing] [aashuftaa = of distressed mind]