Meg Index |
February 2001 Index
Date: 07-Feb-2001 Poet: Sudarshan Faakir I would be obliged if someone can provide me with any information on Sudarshan Faakir. I haven't been able to lay my hands on any information about him. Here is a nazm sung by Jagjit Singh from the album Ghazal Greats which features songs by Jagjit Singh and Ghulam Ali. It was brought out by Weston which has since closed down. Thanks to Satyajit for reminding me of this song. ye shiishe ye sapane ye rishte ye dhaage kise kyaa Khabar hai kahaa.N TuuT jaaye.N muhabbat ke dariyaa me.n tinake vafaa ke na jaane ye kis mo.D par Duub jaaye.N ajab dil kii bastii ajab dil kii vaadii har ek mo.D mausam na_ii Khvaahisho.n kaa lagaaye hai.n ham ne bhii sapano.n ke paudhe magar kyaa bharosaa yahaa.N baarisho.n kaa muraado.n kii manzil ke sapano.n me.n khoye muhabbat kii raaho.n pe ham chal pa.De the zaraa duur chal ke jab aa.Nkhe.n khulii to ka.Dii dhuup me.n ham akele kha.De the jinhe.n dil se chaahaa jinhe.n dil se puujaa nazar aa rahe hai.n vahii ajanabii se ravaayat hai shaayad ye sadiyo.n puraanii shikaayat nahii.n hai ko_ii zindagii se