Meg Index |
February 2001 Index
Date: 06-Feb-2001 Poet: Parveen Shakir Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye [vajuud = existence] Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye [niim-vaa = half open; tamaam = whole/entire] [titalii = butterfly] is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye [Khauf = fear] palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye [gard = dust] mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa qaasid, havaa, sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye