Meg Index |
December 2000 Index
Date: 26-Dec-2000 Poet: Manzar Bhopali judaa_ii ho ke milan har adaa hamaarii hai tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaarii hai shikaayate.n bhii kare.n ham to kis zabaan se kare.n Khudaa banaayaa tum ne ye Khataa hamaarii hai [Khataa = mistake] hamaare jism kii uriyaanat pe mat ha.Nsanaa ke tum jo o.Dhe huye ho ridaa hamaarii hai [uriyaanat = nakedness/nudity; ridaa = cloak/sheet] hamaare saamane zebaa nahii.n Guruur tumhe.n jahaa.N pe baiThe ho tum vo jagaa hamaarii hai [zebaa nahii.n = does not suit; Guruur = pride] [jagaa = place(jagah)]