Meg Index |
December 2000 Index
Date: 04-Dec-2000 Poet: Behzad Lucknawi A ghazal by Behzad Lucknawi, sent in by one of our fellow MeG subscriber: ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n mujh ko na apanaa hosh na duniyaa kaa hosh hai mast hoke baiThaa huu.N tumhaare Khayaal me.n ** Can someone verify the first line of the above sher? ** taaro.n se puuchh lo merii rudaad-e-zindagii raato.n ko jaagataa huu.N tumhaare Khayaal me.n [rudaad = story] duniyaa ko ilm kyaa hai zamaane ko kyaa Khabar duniyaa bhulaa chukaa huu.N tumhaare Khayaal me.n [ilm = knowledge] duniyaa kha.Dii hai muntazir-e-naGmaa-e-alam 'Behzad' chup kha.De hai.n kisii ke Khayaal me.n [muntazir = waiting]