Meg Index |
November 2000 Index
Date: 16-Nov-2000 Poet: Shamim Jaipuri I vaguely remember this ghazal being sung by some male singer. Can someone please confirm? kyuu.N hame.n maut ke paiGaam diye jaate hai.n ye sazaa kam hai ke jiye jaate hai.n [paiGaam = message; sazaa = punishment] nashaa dono.n me.n hai saaqii mujhe Gam de yaa sharaab mai bhii pii jaatii hai aa.Nsuu bhii piye jaate hai.n [mai = wine] ek tuu hai ke hamaarii nahii.n tujh ko parvaa ek ham hai.n ke teraa naam liye jaate hai.n zindagii apanii kashaakash me.n guzaratii hai "Shamim" jii nahii.n chaahataa jiine ko jiye jaate hai.n [kashaakash = struggle]