Meg Index |
November 2000 Index
Date: 13-Nov-2000 Poet: Firaq Gorakhpuri na jaanaa aaj tak kyaa shai Khushii hai hamaarii zindagii bhii zindagii hai [shai = thing/object] tere Gam se shikaayat-sii rahii hai mujhe sach-much ba.Dii sharmindagii hai mohabbat me.n kabhii sochaa hai yuu.N bhii ki tujh se dostii yaa dushamanii hai ko_ii dam kaa huu.N mehamaa.N muu.Nh na phero abhii aa.Nkho.n me.n kuchh kuchh roshanii hai [ko_ii = some/few more (kuchh)] zamaanaa zulm mujh par kar rahaa hai tum aisaa kar sako to baat bhii hai jhalak maasuumiyo.n me.n shoKhiyo.n kii bahut rangiin terii saadagii hai ise sun lo sabab is kaa na puuchho mujhe tum se mohabbat ho ga_ii hai [sabab = reason] sunaa hai ik nagar hai aa.Nsuo.n kaa usii kaa dusaraa naam aa.Nkh bhii hai vahii terii mohabbat kii kahaanii jo kuchh bhuulii hu_ii kuchh yaad bhii hai tumhaaraa zikr aayaa ittefaaqan na biga.Do baat par baat aa ga_ii hai