Meg Index |
October 2000 Index
Date: 27-Oct-2000 Poet: Kishwar Naheed hasarat hai tujhe saamane baiThe kabhii dekhuu.N mai.n tujh se muKhaatib huu.N teraa haal bhii puuchhuu.N [muKhaatib honaa = to address someone] dil me.n hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag mehandii lage haatho.n ko chhupaa kar kahaa.N rakhuu.N [Khvaahish = desire] jis naam se tuune mujhe bachapan se pukaaraa ik umr guzarane pe bhii vo naam na bhuluu.N tuu ashk hii ban ke merii aa.Nkho.n me.n samaa jaa mai.n aa_iinaa dekhuu.N to teraa aks bhii dekhuu.N [aks = reflection] puuchhuu.N kabhii Guncho.n se sitaaro.n se havaa se tujh se hii magar aa ke teraa naam na puuchhuu.N [Gunchaa = flower bud] ai merii tamannaa ke sitaare tuu kahaa.N hai tuu aaye to ye jism shab-e-Gam ko na sau.npuu.N [sau.npanaa = to entrust] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.mehfil-e-gazal.net To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------