Meg Index |
October 2000 Index
Date: 26-Oct-2000 Poet: Ameer Minai jab se bul-bul tuu ne do tinake liye TuuTatii hai bijaliyaa.N in ke liye hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar saadagii gahanaa hai us sinn ke liye [sinGaar = adornment; saadagii = simplicity] [gahanaa = jewel; sinn = age/period of life] kaun viiraane me.n dekhegaa bahaar phuul jangal me.n khile kin ke liye saarii duniya ke hain vo mere sivaa mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye baaGabaa.N kaliyaa.N ho.n halke rang kii bhejanii hai.n ek kamasin ke liye [baaGabaa.N = gardener; kamasin = of tender years] sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand ab ko_ii huur aayegii in ke liye [zaahid = religious/devout person; huur = fairy/celestial nymph] vasl kaa din aur itanaa muKhtasar din gine jaate the is din ke liye [vasl = union; muKhtasar = short] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.mehfil-e-gazal.net To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------