Meg Index |
October 2000 Index
Date: 20-Oct-2000 Poet: Yahya Jasdanwala We end this week's post with the last ghazal from the album "Malika-e-Ghazal Begum Akhtar in Mehfil" jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai saare sahaare ishq ke TuuT chuke hai.n hijr me.n ek tumhaarii yaad bas dard kii Gam-gusaar hai [Gam-gusaar = sympathiser] ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai luT ga_ii Gam kii aabaruu luT chukii dil kii aarazuu "Yahya" nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiid-vaar hai -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.mehfil-e-gazal.net To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------