Meg Index |
October 2000 Index
Date: 19-Oct-2000 Poet: Yahya Jasdanwala Before I present ghazal #3 from the Begum Akhtar album, I would like to apologise for not including the meaning of 'paamaal-e-Gam' in yesterday's post. The meaning would be "crushed by sorrow". And now on to the Ghazal of the Day: dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj sar-taa-ba-paa bahaar bane jaa rahe hai.n aaj [sar-taa-ba-paa = from head to toe] jaise ke ho rahaa hai tuluu-e-aaftaab-e-naaz kuchh aisii shaan se vo chale aa rahe hai.n aaj [tuluu = dawn; aaftaab = Sun] Thukaraa ke iltijaa ko paa-e-Guruur se armaano.n kaa vo Khuun kiye jaa rahe hai.n aaj [iltijaa = request/plea; Guruur = pride] vo pyaar kii fizaaye.n vo rangiin sohabate.n manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hai.n aaj [manzar = scene] "Yahya" gilaa kare.n bhii to kis baat kaa kare.n apane kiye kii aap sazaa paa rahe hai.n aaj [gilaa = complain] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------