Meg Index |
October 2000 Index
Date: 12-Oct-2000 Poet: Yahya Jasdanwala Music India came out with a Begum Akhtar album some time back titled "Malika-e-Ghazal Begum AKhtar in Mehfil" with five ghazals, all written by Yahya Jasdanwala. This appears to be a live recording but with minimal intrusion by the audience. Here is one of the ghazals from the album: ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaro.n ke saath saath [bekasii = helplessness; hijr = separation] jii bhar ke dekhane bhii na paaye the chhup gaye armaa.N bhii hai.n udaas nazaaro.n ke saath saath dil me.n vafuur-e-shauq kaa tuufaa.N liye huye Khaamosh jaagataa huu.N sitaaro.n ke saath saath [vafuur = abundance] itanii to mahviyat ho tasavvur me.n tere dost Khud ko bhii bhuul jaa_uu.N nazaaro.n ke saath saath [mahviyat = absorption; tasavvur = imagination] "Yahya" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii hai dil me.n ashk-e-Gam bhii sharaaro.n ke saath saath [sharaaraa = spark] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------