Meg Index |
September 2000 Index
Date: 29-Sep-2000 Poet: Manzar Bhopali A ghazal by Manzar Bhopali badalate vaqt kaa ik silsilaa saa lagataa hai ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai [mutma_ii.n = content/satisfied; luu = hot summer breeze] vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai nikal ke dekho kabhii nafarato.n ke pinjare se tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------