Meg Index |
September 2000 Index
Date: 27-Sep-2000 Poet: Nasir Kazmi vo saahilo.n pe gaane vaale kyaa hue vo kashtiyaa.N jalaane vaale kyaa hue [saahil = shore; kashtii = boat] vo subah aate aate rah ga_ii kahaa.N jo qaafile the aane vaale kyaa hue [qaafilaa = caravan] mai.n jin kii raah dekhataa huu.N raat bhar vo raushanii dikhaane vaale kyaa hue ye kaun log hai.n mere idhar udhar vo dostii nibhaane vaale kyaa hue imaarate.n to jal ke raakh ho ga_ii.n imaarate.n banaane vaale kyaa hue [imaarat = building; raakh = ashes] ye aap ham to bojh hai.n zamiin kaa zamii.n kaa bojh uThaane vaale kyaa hue [bojh = burden] ** I wonder if the first misra (line) of the above sher should end in 'par', instead of 'kaa'. It would be a more elegant construct. Besides, 'bojh' and 'par' do go hand in hand. "kisii par bojh honaa" is commonly used. ** -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ To subscribe: send an e-mail to urdu_poetry-subscribe@eGroups.com To unsubscribe, send an e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------