Meg Index |
September 2000 Index
Date: 25-Sep-2000 Poet: Akhtar Sheerani The 9th ghazal from the Tahir Syed album "Gulistan Volume 7". The last ghazal will be posted tomorrow after which we will move on to other albums and other poets. vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n muhabbat kare.n Khush rahe.n muskuraa de.n javaanii ho gar jaavidaanii to yaa rab terii saadaa duniyaa ko jannat banaa de.n [jaavidaanii = eternal/perpetual] shab-e-vasl kii beKhudii chhaa rahii hai kaho to sitaaro.n kii shamae.N bujhaa de.n tum afsaanaa-e-qais kyaa puuchhate ho idhar aao ham tum ko lailaa banaa de.n [Qais = Majnu's real name (of Laila-Majnu fame)] bahaare.n simaT aaye.n khil jaaye.n kaliyaa.N jo ham tum chaman me.n kabhii muskuraa de.n vo aaye.nge aaj ai bahaar-e-muhabbat sitaaro.n ke bistar pe kaliyaa.N bichhade -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------