Meg Index |
September 2000 Index
Date: 15-Sep-2000 Poet: Daag Dehlvi The third ghazal from the Tahira Syed album is a well known ghazal by Daag Dehlvi. The most well known version of this ghazal has been sung by Mohammed Rafi. Once again, the post includes more ashaar than those sung by Tahira Syed. Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa [aitabaar karanaa = to trust/believe; tamaam = whole] ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa [ashk-baar = tearful] ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa [mahv-e-nazaaraa = lost in (the beauty of) the scene] [taGaaful = neglect; hoshiyaar = alert] fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa [fasaanaa-e-shab-e-Gam = tale of the night of grief] ye kis ne jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa ki dil se shor uThaa, haaye! beqaraar kiyaa [jalvaa = appear; sar-e-mazaar = at the tomb] ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa [sabr = patience] bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaa.N chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa [raaz-e-nihaa.N = hidden secret; aashakaar = reveal] tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiid-vaar kiyaa ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh unho.n ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa [taab = strength; maalandesh = think of consequences/result of any action)] na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n vo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa [daavar-e-mahashar = the judge presiding on the day of judgement, i.e. God] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------