Meg Index |
September 2000 Index
Date: 14-Sep-2000 Poet: Ahmed Faraz Continuing to post from the album Gulistan Volume 7 - Ghazals by Tahira Syed, we have another Faraz ghazal. She does not sing all the ashaar (couplets) given here, of course. This is the second ghazal on Side B of the album: ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N yaad tujhako dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N [tajdiid = renewal; imkaa.N = possibility] [jaanaa.N = dear one/beloved; paimaa.N = promise] yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai kis qadar jald badal jaate hai.n i.nsaa.N jaanaa.N zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N [ataa = given by; basar = to live; ehasaa.N = favour] dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N [fasurdaa = sad/disappointed] avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar be-piye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N [avval-avval = the very first] aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N [rag = veins; miinaa = wine-holder; jaa.N = life] muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N [muddat = awhile; tavaqqo = hope] ham bhii kyaa saadaa the hamane bhii samajh rakhaa thaa Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N [Gam-e-dauraa.N = sorrows of the world] ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N [sar-ba-zaanuu = forehead touching the knees; sar-ba-girebaa.N = lost in worries] har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N [hiraasaa.N = scared of] jisako dekho vahii za.njiir-ba-paa lagataa hai shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zi.ndaa.N jaanaa.N [za.njiir-ba-paa = feet encased in chains; zindaa.N = prison] ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye aur se aur huaa dard kaa unavaa.N jaanaa.N [unavaa.N = start of chapter/title] ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N [mausam-e-hijraa.N = season of separation] hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa jaise u.Date hue auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N [rezaa-rezaa = piece by piece; auraaq-e-parishaa.N = strewn pages of a book] -------------------------------------------------- In MeG #351, the meaning of iqtadaar was given as "gambling". This is incorrect. The correct meaning is "social prestige". -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------