Meg Index |
September 2000 Index
Date: 6-Sep-2000 Poet: Azeem Amrohvi dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa vaqt ik din chiin kar saare hunar le jaayegaa [azm-e-safar =strength to travel; hunar = knowledge/skills] haa.N duaa maa.Ngii thii lekin ye to sochaa bhii na thaa mausam-e-barasaat sab diivaar-o-dar le jaayegaa aaj is titalii ko in phuulo.n pe u.Dane diijiye kal ko_ii jho.nkaa havaa kaa is ke par le jaayegaa [titalii = butterfly; par = wing] tuu kisii andhe kuye.N me.n jaaye to ye jaan le saath saath apane ye merii bhii nazar le jaayegaa [ku_aa.N = well; nazar = sight] duusaro.n ke ghar me.n patthar phe.nkane vaale ye soch tuu bachaa kar kis tarah shiishe kaa ghar le jaayegaa shahar kii sa.Dako.n pe mere saath mat nikalo abhii jo bhii dekhegaa u.Daa kar ye Khabar le jaayegaa sar-bulandii jis kaa manasab hai vo jhuk sakataa nahii.n dast-e-qaatil us kaa Khud neze pe sar le jaayegaa [sar-bulandii = to keep one's head high] [dast-e-qaatil = hands of the killer; nezaa = spear] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------