Meg Index |
September 2000 Index
Date: 5-Sep-2000 Poet: Azhar Inayati mayassar ho jo lamhaa dekhane ko kitaabo.n me.n hai kyaa kyaa dekhane ko [mayassar = possible/to get; lamhaa = moment] hazaaro.n qadd-e-aadam aa_iine.n hai.n magar tarasoge cheharaa dekhane ko [qadd-e-aadam = length of man] [qadd-e-aadam aa_iinaa = full length mirror] abhii hai.n kuchh puraanii yaadagaare.n tum aanaa shahar meraa dekhane ko havaa se hii sahii khulataa thaa aksar mujhe bhii ik dariichaa dekhane ko [aksar = often; dariichaa = window] abhii shaaKho.n pe hai.n kuchh phuul "Azhar" mujhe kaa.NTo.n me.n uljhaa dekhane ko [shaaKh = branch] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------