Meg Index |
September 2000 Index
Date: 2-Sep-2000 Poet: Abdul Hameed Adam aap agar ham ko mil gaye hote baaG me.n phuul khil gaye hote aap ne yuu.N hii ghuur kar dekhaa ho.nTh to yuu.N bhii sil gaye hote kaash ham aap is tarah milate jaise do vaqt mil gaye hote ham ko ahal-e-Khirad mile hii nahii.n varanaa kuchh munfa_iil gaye hote [ahal-e-Khirad = intelligent; munfa_iil = ashamed] us kii aa.Nkhe.n hii kaj-nazar thii.n "Adam" dil ke parde to hil gaye hote [kaj-nazar = sly look? (how does one translate "te.Dhii nazar")] -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------