Meg Index |
September 2000 Index
Date: 1-Sep-2000 Poet: Zahur Nazar haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n shahar-e-shab me.n kaun-saa ghar thaa na dii jis par sadaa niind ke andhe musaafir ko milaa kuchh bhii nahii.n umr bhar umr-e-gurezaa.N se na merii ban sakii jo kare karatii rahe mai.n puchhataa kuchh bhii nahii.n [umr-e-gurezaa.N = fleeting life] vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar mai.n ne us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n -------------------------------------------------- Mehfil-e-Gazal Archive: http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/ Urdu Poetry Archive: http://www.urdupoetry.com To unsubscribe, send a blank e-mail to urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com For all other queries, send an e-mail to moderator@urdupoetry.com --------------------------------------------------