Mehfil-e-Gazal #520
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 28-Aug-2000
Poet: Ali Sardar Jafri
The title of the nazm is "Gam kaa Sitaaraa"
merii vaadii me.n vo ik din yuu.N hii aa nikalii thii
rang aur nuur kaa bahataa huaa dhaaraa ban kar
[vaadii = valley; nuur = light]
mahafil-e-shauq me.n ik dhuum machaa dii us ne
Khalvat-e-dil me.n rahii anjuman-aaraa ban kar
[mahafil-e-shauq = gathering of love; Khalvat-e-dil = solitude/loneliness of the heart]
[anjuman-aaraa = one who adorns a meeting]
sholaa-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune lagaa
u.D ga_ii vo mere siine se sharaaraa ban kar
[sar-e-arsh = seventh heaven; sharaaraa = spark]
aur ab mere tasavvur kaa ufaq roshan hai
vo chamakatii hai jahaa.N Gam kaa sitaaraa ban kar
[tasavvur = imagination; ufaq = horizon]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
To unsubscribe, send a blank e-mail to
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com
For all other queries, send an e-mail to
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index