Mehfil-e-Gazal #525
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 25-Aug-2000
Poet: Ahmad Hamdani
ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaa_e.nge
tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paa_e.nge
dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat me.n
ham ne kitane dhoke khaa_e kitane dhoke khaa_e.nge
aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa
ishq ke haatho.n ye bhii hogaa log hame.n samajhaa_e.nge
[naaz = pride]
kal ke dukh bhii kaun se baaqii aaj ke dukh bhii kai din ke
jaise din pahale kaaTe the ye din bhii kaT jaa_e.nge
ham se aabalaa-paa jab tanhaa ghabaraa_e.nge saharaa me.n
raaste sab tere hii ghar kii jaanib ko mu.D jaa_e.nge
[aabalaa-paa = blistered feet; saharaa = desert; jaanib = towards]
aa.Nkho.n se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai
mujh se chhuT kar bhii ahal-e-Gam kyaa tujh se chhuT jaa_e.nge
[ojhal = invisible/to disappear]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
To unsubscribe, send a blank e-mail to
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com
For all other queries, send an e-mail to
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index