Mehfil-e-Gazal #507
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 9-Aug-2000
Poet: Shad Azeemabadi
Dhuu.NDoge agar mulko.n mulko.n milane ke nahii.n naayaab hai.n ham
taabiir hai jis kii hasarat-o-Gam ai ham-nafso vo Khvaab hai.n ham
[naayaab = rare/difficult to find; taabiir = interpretation of dream]
mai.n hairat-o-hasarat kaa maaraa Khaamosh kha.Daa huu.N saahil pe
dariyaa-e-mohabbat kahataa hai aa kuchh bhii nahii.n paayaab hai.n ham
[paayaab = shallow]
ai dard-e-mohabbat kuchh tuu hii bataa ab tak ye muammaa hal na huaa
ham me.n hai.n dil-e-betaab nihaa.N yaa aap dil-e-betaab hai.n ham
[muammaa = puzzle; nihaa.N = hidden]
murGaan-e-qafas ko phuulo.n ne ai "Shaad" ye kahalaa bhejaa hai
aa jaao jo tum ko aanaa ho aise me.n abhii shaadaab hai.n ham
[murGaan = birds; qafas = cage; shaadaab = fresh]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index