Mehfil-e-Gazal #496
Meg Index |
June 2000 Index
Date: 14-Jun-2000
Poet: Kaifi Azmi
sunaa karo merii jaa.N in se un se afsaane
sab ajanabii hai.n yahaa.N kaun kis ko pahachaane
yahaa.N se jald guzar jaa_o qaafile vaalo
hai.n merii pyaas ke phuu.Nke huye ye viiraane
merii junuun-e-parastish se tang aa gaye log
sunaa hai band kiye jaa rahe hai.n but_Khaane
[junuun-e-parastish = zeal/madness of worship]
jahaa.N se pichhale pahar ko_ii tashnaakaam uThaa
vahii.n pe to.De hai.n yaaro.n ne aaj paimaane
[tashnaakaam = one who is thirsty; paimaane = wine goblets]
bahaar aaye to meraa salaam kah denaa
mujhe to aaj talab kar liyaa hai seharaa ne
[talab = demand; seharaa = desert]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
June 2000 Index