Mehfil-e-Gazal #494
Meg Index |
June 2000 Index
Date: 12-Jun-2000
Poet: Bahadur Shah Zafar
A ghazal by Zafar by request from some of our subscribers.
This ghazal has been sung by Bhupinder Singh.
yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa
[afsar-e-shaahaa = royal officer; gadaayaa = like a beggar]
Khaak_saarii ke liye garche banaayaa thaa mujhe
kaash Khaak-e-dar-e-jaanaa.N na banaayaa hotaa
[Khaak_saarii = humbleness; garche = if; dar = door]
nashaa-e-ishq kaa gar zarf diyaa thaa mujhako
umr kaa tang na paimaanaa banaayaa hotaa
[zarf = capacity; tang = short]
apanaa diivaanaa banaayaa mujhe hotaa tuune
kyo.n Khirad_mand banaayaa, na banaayaa hotaa
[Khirad_mand = intelligent/wise]
sholaa-e-husn chaman me.n na dikhaayaa usane
varanaa bul-bul ko bhii paravaanaa banaayaa hotaa
roz-e-mamuuraa-e-duniyaa me.n Kharaabii hai "Zafar"
aisii bastii se to viiraanaa banaayaa hotaa
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
June 2000 Index