Mehfil-e-Gazal #493
Meg Index |
June 2000 Index
Date: 9-Jun-2000
Poet: Amjad Islam Amjad
A nazm titled "Kyuu.N" by Amjad Islam Amjad. Thanks, Nadia
for sharing this with all of us.
kuchh aise ghaa_o bhii hote hai.n
jinhe.n zaKhmii aap nahii.n dhote
bin roye huye aa.Nsuo.n kii tarah
siine me.n chhupaa ke rakhate hai.n
aur saarii umr nahii.n rote
[ghaa_o = wound]
niinde.n bhii muhaiyaa hotii hai.n
sapane bhii duur nahii.n hote
kyuu.N phir bhii jaagate rahate hai.n
kyuu.N saarii raat nahii.n sote
[muhaiyaa = available]
ab kis se kahe.n ai jaan-e-vafaa
ye ahal-e-vafaa kis aag me.n jalate rahate hai.n
kyuu.N bujh ke raakh nahii.n hote
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
June 2000 Index