Mehfil-e-Gazal #492

Meg Index | June 2000 Index



Date: 8-Jun-2000
Poet: Bahadur Shah Zafar

The ghazal, bound as it is in such a rigid structure, 
imposes a greater strain on a poet's creativity when 
he/she decides to use an uncommon 'radeef'. Look at
today's ghazal. Though it looks deceptively simple, it
really isn't.


tum na aaye ek din kaa vaadaa kar do din talak
ham pa.De ta.Dapaa kiye do do pahar do din talak

[talak = till]

dard-e-dil apanaa sunaataa huu.N kabhii jo ek din
rahataa hai us naazanii.n ko dard-e-sar do din talak

dekhate hai.n Khvaab me.n jis din kisuu kii chashm-e-mast
rahate hai.n ham do jahaa.N se beKhabar do din talak

[kisuu = kisii = someone; chashm-e-mast = intoxicating eyes]

gar yaqii.n ho ye hame.n aayegaa tuu do din ke baad
to jiye.n ham aur is ummiid par do din talak

[yaqii.n = believe/trust]

kyaa sabab kyaa vaastaa kyaa kaam thaa batalaa_iye
ghar se jo nikale na apane tum "Zafar" do din talak

[sabab = reason]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | June 2000 Index