Mehfil-e-Gazal #485
Home |
May 2000 Index
Date: 30-May-2000
Poet: Obaidullah Aleem
Hope those of you who are in the US had a wonderful
Memorial Day weekend. Its back to work now and more
ghazals and nazms coming your way:
Khayaal-o-Khvaab hue hai.n muhabbate.n kaisii
lahuu me.n naach rahii.n hai.n ye vahashate.n kaisii
na shab ko chaa.Nd hai achchhaa na din ko mehar achchhaa
ye ham pe biit rahii hai.n qayaamate.n kaisii
azaab jin kaa tabassum savaab jin kii nigaah
khi.nchii hu_ii hai.n pas-e-jaanaa.N suurate.n kaisii
havaa ke dosh pe rakkhe hue charaaG hai.n ham
jo bujh gaye to havaa se shikaayate.n kaisii
jo beKhabar ko_ii guzaraa to sadaa ye dii hai
mai.n sang-e-raah huu.N mujh par inaayate.n kaisii
jo aa rahe so vo bhii ab sang-o-Khisht laataa hai
fazaa ye ho to dilo.n kii nazakate.n kaisii
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
May 2000 Index