Mehfil-e-Gazal #477
Home |
May 2000 Index
Date: 16-May-2000
Poet: Mushtaq Ahmed 'Khayaal'
phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa
jaaduu bharii nigaah se jaaduu-saa kar gayaa
bas dekhate hii dekhate duniyaa badal ga_ii
kuchh sochate hii sochate cheharaa utar gayaa
betaab beqaraar thaa pahale hii dil bahut
phir aap kaa aanaa aur bhii betaab kar gayaa
ik beKhudii kaa naam muhabbat hai dosto
chaahat me.n kis ko hosh hai kyaa kyaa guzar gayaa
kuchh bhii pataa nahii.n hai muhabbat me.n ai dost
kab raat subah ban ga_ii kab din guzar gayaa
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
May 2000 Index