Mehfil-e-Gazal #474
Home |
May 2000 Index
Date: 11-May-2000
Poet: Daag Dehlvi
This ghazal has been sung by Mehdi Hassan. I don't
have the album information. Does anyone know the
album from which this has been taken?
le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa
aise aane se to behatar thaa na aanaa teraa
apane dil ko bhii bataa_uu.N na Thikaanaa teraa
sab ne jaanaa jo pataa ek ne jaanaa teraa
tuu jo ai zulf pareshaan rahaa karatii hai
kis ke uja.De hue dil me.n hai Thikaanaa teraa
ye samajh kar tujhe ai maut lagaa rakhaa hai
kaam aataa hai bure vaqt me.n aanaa teraa
apanii aa.Nkho.n me.n bhii kau.Ndh ga_ii bijalii sii
ham na samajhe ki ye aanaa hai ki jaanaa teraa
[bijalii kau.Ndhanaa = strike/flash of lightning]
"Daag" ko yuu.N vo miTaate hai.n ye farmaate hai.n
tuu badal Daal huaa naam puraanaa teraa
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
May 2000 Index