Mehfil-e-Gazal #470
Home |
May 2000 Index
Date: 05-May-2000
Poet: Hafeez Jullundhary
agar mauj hai biich dhaare chalaa chal
vagaranaa kinaare kinaare chalaa chal
[mauj = wave; vagaranaa = otherwise]
isii chaal se mere pyaare chalaa chal
guzaratii hai jaise guzaare chalaa chal
tujhe saath denaa hai baharuupiyo.n kaa
naye se nayaa ruup dhaare chalaa chal
[baharuupiyaa = a person with many forms (a deceitful person)]
musalasal buto.n kii tamannaa kiye jaa
musalasal Khudaa ko pukaare chalaa chal
[musalasal = continuous; buto.n = idols; tamannaa = desire]
tujhe to abhii der tak khelanaa hai
isii me.n to hai jiit haare chalaa chal
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
May 2000 Index