Mehfil-e-Gazal #468
Home |
May 2000 Index
Date: 03-May-2000
Poet: Munir Niazi
Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saa.Np Khazaane me.n
zar ke zor se zi.ndaa hai.n sab Khaak ke is viiraane me.n
[zar = gold]
jaise rasm adaa karate ho.n shaharo.n kii aabaadii me.n
subah ko ghar se duur nikal kar shaam ko vaapis aane me.n
[rasm = custom/tradition; vaapis = return]
niile rang me.n Duubii aa.Nkhe.n khulii pa.Dii thii.n sabze par
aks pa.Daa thaa aasmaan kaa shaayad is paimaane me.n
[sabze = green grass/field; aks = reflection]
dil kuchh aur bhii sard huaa hai shaam-e-shahar kii raunaq me.n
kitanii ziyaa be-suud ga_ii hai shiishe ke lafz jalaane me.n
[raunaq = light/brightness; ziyaa = light; be-suud = futile]
mai.n to "Munir" aa_iine me.n Khud ko tak kar hairaan huaa
ye cheharaa kuchh aur tarah thaa pahale kisii zamaane me.n
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
May 2000 Index