Mehfil-e-Gazal #457
Home |
April 2000 Index
Date: 18-Apr-2000
Poet: 'Nida Fazli'
A nazm from Nida Fazli's book "Khoyaa Hua
Sa Kuchh":
masjido.n-mandiro.n kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate kahaa.N hai.n log
roz mai.n chaa.Nd ban ke aataa huu.N
din me.n suuraj saa jagamagaataa huu.N
khan-khanaataa huu.N maa.N ke gahano.n me.n
ha.Nsataa rahataa huu.N chhup ke bahano.n me.n
[maa.N = mother; gahanaa = jewellery]
mai.n hii mazaduur ke pasiine me.n
mai.n hii barasaat ke mahiine me.n
[mazaduur = labourer; pasiinaa = sweat; mahiinaa = month]
merii tasviir aa.Nkh kaa aa.Nsuu
merii tahariir jism kaa jaduu
[tahariir = handwriting]
masjido.n-mandiro.n kii duniyaa me.n
mujhako pahachaanate nahii.n jab log
mai.n zamiino.n ko be-ziyaa karake
aasamaano.n me.n lauT jaataa huu.N
[be-ziyaa = without light]
mai.n Khudaa ban ke qahar Dhaataa huu.N
[qahar = rage/anger; qahar Dhaanaa = wreak havoc/destroy]
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
April 2000 Index